koī  kisī  kā  kahīñ  āshnā  nahīñ  dekhā
sivā.e  us  ke  in  āñkhoñ  ne  kyā  nahīñ  dekhā
ye  log  manā  jo  karte  haiñ  ishq  se  mujh  ko
inhoñ  ne  yaar  ko  dekhā  hai  yā  nahīñ  dekhā
bhalā.ī  kyā  dil-e-kāfir  ne  but  meñ  paa.ī  hai
jahāñ  meñ  koī  itnā  burā  nahīñ  dekhā
kuchh  us  jahāñ  meñ  na  dekheñge  kyūñki  andhe  haiñ
isī  jahāñ  meñ  jinhoñ  ne  ḳhudā  nahīñ  dekhā
ba-rañg-e-sāya  o  ḳhurshīd  ai  'bayāñ'  maiñ  ne
kabhū  raqīb  se  us  ko  judā  nahīñ  dekhā