chashm-e-millat  meñ  makīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
gosha-e-dil  ke  qarīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
sher-o-inshā  kī  bahāreñ  haiñ  bahāreñ  jis  se
vo  bahāroñ  se  hasīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
jis  pe  be-tūl  ḳhazāne  bhī  luTā  ke  na  huuñ  ser
be-bahā  durr-e-samīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
jis  kī  jāñkāhī-e-īsār  se  zindāñ  bhī  thā  tuur
vo  daraḳhshanda  nagīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
kis  kī  bebākī-e-kirdār  hai  īmāñ  afroz
ġhairat-e-dair-nashīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
jis  ko  europe  kā  muqāmir  na  kabhī  jiit  sake
nard-e-nā-said-e-makīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
jis  javāñ-fikr  kī  taqrīr  se  bātil  larze
vo  javāñ  azm-o-yaqīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
kis  kī  kirnoñ  meñ  na.e  sānehe  paḌh  sakte  haiñ
hind  kī  tāb-e-jabīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
azm-e-īsār  kā  ik  paikar-e-bedār-o-buland
hamdam-e-zār-o-hazīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
pūchhā  saaqī  se  mai-e-tund  ne  mastī  chillā.ī
mard-e-pā.inda-tarīñ  kaun  hai  aaġhā  shorish
shorisheñ  aap  kī  haiñ  ma.anī-e-nau  se  labrez
amn-e-ālam  kā  amiiñ  kaun  hai  aaġhā  shorish