Meem Hasan Lateefi

nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur

Meem Hasan Lateefi

Ludhiana, Punjab, India

1905-1959
nazdīk sī shai sāya-e-hā.il se bahut duur
manzil hai shanāsā.ī-e-manzil se bahut duur
dushvār sahī duur nahīñ nukta-rasī se
lekin hai ġhalat-rasmī-e-rāhil se bahut duur
ye ain ḳhudī ishq ke āsār meñ hai ġham
pahlū se hai kam duur muqābil se bahut duur
har sahal-talab se to hai bargashta-badīh
har sā.il-e-kāmil ke bhī hāsil se bahut duur
qurbāniyāñ kuchh rakh de giro aisī uThe guuñj
gir-paḌ ke jo pahuñche koī mushkil se bahut duur
taarī asar-e-sadma kabhī nashsha-e-tundī
ḳhud-sanjī-e-haq-sīrat-e-zā.il se bahut duur
mashshātgī-e-shāna bahut silsila-e-jumbā
tah-dārī-e-sad-zulf-e-avā.il se bahut duur
ik silsila-e-mauja-e-zanjīr-e-shikan sā
ghuste hue zindāñ se salāsil se bahut duur
ġhaltīda-o-pechīda-o-āshufta sī ik mauj
sāhil ko liye zad meñ hai sāhil se bahut duur
sad-zāviya mehrāb-e-taġhayyur kam-o-afzūñ
idrāk ke bāzū-e-hamā.il se bahut duur
yuuñ jaise ki har asr-e-ravāñ ke mutavāzī
mausam kī har ik shaq ke mumāsil se bahut duur
pinhāñ abhī kam-posh bhī mub.ham abhī har baar
pāyābī-e-mizrāb rag-e-dil se bahut duur
lāhūt kī ik lahar sū-e-karb-e-dil-e-ḳhāk
laayā koī jazba kisī mahfil se bahut duur
āshob-e-qadah jasta sū-e-gasht piyāda
vāmāñdagī-e-tishna-o-sar-joshī-e-bāda
Top Urdushayar.com