nazdīk  sī  shai  sāya-e-hā.il  se  bahut  duur
manzil  hai  shanāsā.ī-e-manzil  se  bahut  duur
dushvār  sahī  duur  nahīñ  nukta-rasī  se
lekin  hai  ġhalat-rasmī-e-rāhil  se  bahut  duur
ye  ain  ḳhudī  ishq  ke  āsār  meñ  hai  ġham
pahlū  se  hai  kam  duur  muqābil  se  bahut  duur
har  sahal-talab  se  to  hai  bargashta-badīh
har  sā.il-e-kāmil  ke  bhī  hāsil  se  bahut  duur
qurbāniyāñ  kuchh  rakh  de  giro  aisī  uThe  guuñj
gir-paḌ  ke  jo  pahuñche  koī  mushkil  se  bahut  duur
taarī  asar-e-sadma  kabhī  nashsha-e-tundī
ḳhud-sanjī-e-haq-sīrat-e-zā.il  se  bahut  duur
mashshātgī-e-shāna  bahut  silsila-e-jumbā
tah-dārī-e-sad-zulf-e-avā.il  se  bahut  duur
ik  silsila-e-mauja-e-zanjīr-e-shikan  sā
ghuste  hue  zindāñ  se  salāsil  se  bahut  duur
ġhaltīda-o-pechīda-o-āshufta  sī  ik  mauj
sāhil  ko  liye  zad  meñ  hai  sāhil  se  bahut  duur
sad-zāviya  mehrāb-e-taġhayyur  kam-o-afzūñ
idrāk  ke  bāzū-e-hamā.il  se  bahut  duur
yuuñ  jaise  ki  har  asr-e-ravāñ  ke  mutavāzī
mausam  kī  har  ik  shaq  ke  mumāsil  se  bahut  duur
pinhāñ  abhī  kam-posh  bhī  mub.ham  abhī  har  baar
pāyābī-e-mizrāb  rag-e-dil  se  bahut  duur
lāhūt  kī  ik  lahar  sū-e-karb-e-dil-e-ḳhāk
laayā  koī  jazba  kisī  mahfil  se  bahut  duur
āshob-e-qadah  jasta  sū-e-gasht  piyāda
vāmāñdagī-e-tishna-o-sar-joshī-e-bāda