ġhairoñ  kā  to  kahnā  kyā  mahram  se  nahīñ  kahtā
maiñ  ālam-e-ġham  apnā  aalam  se  nahīñ  kahtā
paḌh  letī  haiñ  kaifiyyat  kuchh  taḌpī  huī  nazreñ
dukh  apne  maiñ  har  chashm-e-pur-nam  se  nahīñ  kahtā
rahgīr  huuñ  maiñ  aisā  har  ġham  se  guzartā  hai
dāvat  pe  jo  rindān-e-ḳhurram  se  nahīñ  kahtā
mausam  hama-gardish  hai  pasmānda-e-gardish  hai
lab-tishna  koī  ye  shai  kyuuñ  jam  se  nahīñ  kahtā
kasb-e-mut.harrik  se  pā-basta  nasab  tuġhre
ye  kyā  hai  koī  ahal-e-ḳhātam  se  nahīñ  kahtā
aa  dāġh-e-mohabbat  ke  sāñche  meñ  tujhe  Dhālūñ
ḳhātam  se  maiñ  kahtā  huuñ  dirham  se  nahīñ  kahtā
kuchh  baat  thī  kahne  kī  kuchh  bhuul  gayā  ab  maiñ
fitrat  se  nahīñ  kahtā  aadam  se  nahīñ  kahtā
kahte  to  nahīñ  bāvar  nā  kahiye  to  kāfir-tar
kahne  kī  qasam  mujh  ko  maiñ  dam  se  nahīñ  kahtā
kahlāne  meñ  ḳhud  un  kā  kuchh  takmila  nāras  hai
ulTe  unhīñ  shikve  haiñ  kyuuñ  ham  se  nahīñ  kahtā
haañ  merī  ye  uljhan  to  har  dil  meñ  khaTaktī  hai
kuchh  muḌ  ke  koī  zulf-e-barham  se  nahīñ  kahtā
kyuuñ  ho  na  junūñ  kam-go  jab  hotā  hai  ye  zīrak
dohrā.ī  huī  bāteñ  mahram  se  nahīñ  kahtā
kahne  se  huā  gahrā  kuchh  aur  ġham-e-pinhāñ
maiñ  saa.e  se  kahtā  huuñ  hamdam  se  nahīñ  kahtā
jis  lamhe  se  dekhā  hai  ik  sher  sarāpā  ko
dānista  koī  misra.a  is  dam  se  nahīñ  kahtā
dete  haiñ  vo  mahfil  meñ  yuuñ  daad  'latīfī'  ko
ash.ār  ye  kyā  aksar  mub.ham  se  nahīñ  kahtā