Siddique Mujibi

raat hui phir humse ek nadani thoDi si

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
raat huī phir ham se ik nādānī thoḌī sī
dil sarkash thā kar baiThā man-mānī thoḌī sī
thoḌī sī sarshārī ne dī gahrī dhund meñ raah
baham huī ā.ankhoñ ko tab āsānī thoḌī sī
bichhḌā vo to lauT aane kī raah na khoTī kī
kunj meñ dil ke chhoḌ gayā vīrānī thoḌī sī
yā-rab phir se bhej tilism-e-hosh-rubā koī
vaqt atā kar phir ham ko hairānī thoḌī sī
ham aaise be-māya kab the hāthoñ-hāth bikeñ
bāzāroñ tak le aa.ī arzānī thoḌī sī
na.ī ġhazal kā ruup nayā ho lekin aisā ho
ġhazloñ meñ ho ā.īna-sāmānī thoḌī sī
us ke chāl-chalan par mat jā yaar 'mujībī' tū
yuuñ bhī javānī hotī hai dīvānī thoḌī sī
Top Urdushayar.com