Siddique Mujibi

ek be-manzar udasi chaar-su aankhon mein hai

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
ek be-manzar udāsī chār-sū āñkhoñ meñ hai
jitnā baaqī hai mire dil kā lahū āñkhoñ meñ hai
jism-o-jāñ pāmāl-e-sadmāt-e-taġhāful ho chuke
ab to jo hai māvarā-e-guftugū āñkhoñ meñ hai
ḳhatm hotā hī nahīñ bedār lamhoñ kā azaab
niiñd jaise koī zaḳhm-e-be-rafū āñkhoñ meñ hai
tishnagī kā ik parinda chīḳhtā hai zehn meñ
qarya-e-jāñ kī ye kaisī āb-jū āñkhoñ meñ hai
bahte ashkoñ par likhī tahrīr raushan hai abhī
ek va.ada ek paikar hū-ba-hū āñkhoñ meñ hai
maiñ bayābāñ kī bikhartī dhuup huuñ be-samt-o-saut
ab koī saudā hai sar meñ aur na tū āñkhoñ meñ hai
kis taraf dekhūñ 'mujībī' kis se rishta joḌ luuñ
rū-ba-rū duniyā hai phir bhī dasht-e-hū āñkhoñ meñ hai
Top Urdushayar.com