Siddique Mujibi

sharik-e-gham koi kab moatabar nikalta hai

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014

sharīk-e-ġham koī kab mo'atabar nikaltā hai

sivā.e dal ke so vo be-ḳhabar nikaltā hai

ye kaisā shahr hai kaisī hai sar-zamīñ us

jahāñ ḳhaak palaTtā huuñ sar nikaltā hai

jidhar haiñ pyāse udhar bārisheñ haiñ tīroñ

jidhar ġhanīm hai dariyā udhar nikaltā hai

use ḳhabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-sū

ujālā haath meñ le kar sipar nikaltā hai

hafīz hāthoñ saaya hai sā.ebāñ jaisā

yaqīn hotā hai dil ko na Dar nikaltā hai

ajiib dhund hai dasht-e-safar pe chhā.ī huī

na ḳhatm hotā hai rasta na ghar nikaltā hai

'mujībī' sauñp jis ko matā-e-jāñ maiñ ne

usī qarz mire naam par nikaltā hai

Top Urdushayar.com