Siddique Mujibi

dil-e-aina-saman para para kar ke dekha jae

Siddique Mujibi

Ranchi, Jharkhand, India

1931-2014
dil-e-ā.īna-sāmāñ paara paara kar ke dekhā jaa.e
sitāroñ ko kabhī mahv-e-nazāra kar ke dekhā jaa.e
kabhī tā-der shabnam taḳht-e-gul par bhī nahīñ rahtī
amīr-e-shahr ko itnā ishāra kar ke dekhā jaa.e
chamaktā hai sar-e-mizhgān-e-nam jo TuuT kar dil se
chalo us ashk-e-ḳhūnī ko sitāra kar ke dekhā jaa.e
harī kāñToñ-bharī beleñ mirī sāñsoñ se lipTī haiñ
aziyyat hī sahī kuchh din guzāra kar ke dekhā jaa.e
kahāñ fursat farishtoñ sī ki ham ye dard-e-sar moleñ
hisāb-e-dostāñ ko goshvāra kar ke dekhā jaa.e
hameñ dil jītne kā fan to aatā hai magar sochā
kabhī aisā bhī ho apnā ḳhasāra kar ke dekhā jaa.e
na jaane kitne aalam haiñ 'mujībī' ek aalam meñ
agar duniyā ko duniyā se kināra kar ke dekhā jaa.e
Top Urdushayar.com