vo  mar  gayā  sadā-e-nauha-gar  meñ  kitnī  der  hai
ki  sāneha  to  ho  chukā  ḳhabar  meñ  kitnī  der  hai
hamāre  shahr  kī  rivāyatoñ  meñ  ek  ye  bhī  thā
duā  se  qabl  pūchhnā  asar  meñ  kitnī  der  hai
muqābla  hai  raqs  kā  bagūlā  kab  kā  aa  chukā
magar  patā  nahīñ  abhī  bhañvar  meñ  kitnī  der  hai
ḳhudā-e-mahr  āsmāñ  ujaal  de  ki  yuuñ  na  ho
diye  ko  pūchhnā  paḌe  sahar  meñ  kitnī  der  hai
hazār  kuufa  o  halab  guzar  rahe  haiñ  roz  o  shab
maiñ  jis  taraf  chalā  huuñ  us  nagar  meñ  kitnī  der  hai
ḳhirad  kī  tez  dhuup  meñ  junūñ  kā  sā.ebāñ  khilā
maiñ  biij  bo  chukā  so  ab  shajar  meñ  kitnī  der  hai
abhī  hameñ  guzārnī  hai  ek  umr-e-muḳhtasar
magar  hamārī  umr-e-muḳhtasar  meñ  kitnī  der  hai