yādoñ  kī  tajsīm  pe  mehnat  hotī  hai
bekārī  bharpūr  mashaqqat  hotī  hai
aisā  ḳhālī  aur  itnā  gunjān  ābād
ā.īne  ko  dekh  ke  hairat  hotī  hai
dīvāroñ  kā  apnā  sahrā  hotā  hai
aur  kamroñ  kī  apnī  vahshat  hotī  hai
us  ko  yaad  karo  shiddat  se  yaad  karo
is  se  tanhā.ī  meñ  barkat  hotī  hai
bachpan  jauban  aur  buḌhāpā  aur  phir  maut
sab  chalte  rahne  kī  aadat  hotī  hai
jiinā  to  bas  lafz  hai  ik  be-ma.anī  lafz
maut  se  pahle  maut  kī  fursat  hotī  hai
aisī  āzādī  ab  aur  kahāñ  hogī
ishq  meñ  sab  karne  kī  ijāzat  hotī  hai
aañsū  motī  jugnū  taara  sūraj  chāñd
har  qatre  kī  apnī  qismat  hotī  hai