Ahmad Shahryar

diya nasib mein nahin sitara baKHt mein nahin

Ahmad Shahryar

Quetta, Balochistan, Pakistan

1983
diyā nasīb meñ nahīñ sitāra baḳht meñ nahīñ
to kyā sharār bhī vajūd-e-sañg-e-saḳht meñ nahīñ
mirī baqā kā raaz hai musāfirat musāfirat
so naqsh-e-pā baġhair mere sāz-o-raḳht meñ nahīñ
mujhe hai shahr ke gharoñ se sirf is qadar gila
ki bhaa.ī husn āsmān-e-laḳht-laḳht meñ nahīñ
mirā kamāl munhasir hai mere iḳhtisār par
mirī numū kā shā.iba kisī daraḳht meñ nahīñ
faqīr-e-shahr bhī rahā huuñ 'shahryār' bhī magar
jo itminān faqr meñ hai tāj-o-taḳht meñ nahīñ
Top Urdushayar.com