diyā  nasīb  meñ  nahīñ  sitāra  baḳht  meñ  nahīñ
to  kyā  sharār  bhī  vajūd-e-sañg-e-saḳht  meñ  nahīñ
mirī  baqā  kā  raaz  hai  musāfirat  musāfirat
so  naqsh-e-pā  baġhair  mere  sāz-o-raḳht  meñ  nahīñ
mujhe  hai  shahr  ke  gharoñ  se  sirf  is  qadar  gila
ki  bhaa.ī  husn  āsmān-e-laḳht-laḳht  meñ  nahīñ
mirā  kamāl  munhasir  hai  mere  iḳhtisār  par
mirī  numū  kā  shā.iba  kisī  daraḳht  meñ  nahīñ
faqīr-e-shahr  bhī  rahā  huuñ  'shahryār'  bhī  magar
jo  itminān  faqr  meñ  hai  tāj-o-taḳht  meñ  nahīñ