ġhubār-e-vaqt  ke  gar  ār-pār  dekhiyegā
to  ek  pal  meñ  mirā  shahsavār  dekhiyegā
maiñ  ek  baar  use  pherūñgā  apnī  gardan  par
aur  aap  bas  mire  ḳhanjar  kī  dhaar  dekhiyegā
kisī  kā  naqsh  nahīñ  bāñdhi.yegā  āñkhoñ  meñ
jise  bhī  dekhiye  ā.īna-vār  dekhiyegā
kabhī  na  lauT  ke  ā.eñge  aap  jāntā  huuñ
par  aa.iye  to  mirā  intizār  dekhiyegā
na  dastakeñ  na  sadā  kaun  dar  pe  aayā  hai
faqīr-e-shahr  hai  yā  shahryār  dekhiyegā