ashk  bhejeñ  mauj  ubhāreñ  abr  jaarī  kījiye
mehrbāñ  sail-e-balā  kī  ābyārī  kījiye
ai  charāġh-e-tāq-e-jānāñ  ai  havā-e-kū-e-dost
apnī  kaifiyyat  zarā  ham  par  bhī  taarī  kījiye
shām-e-hijrāñ  meñ  sitāroñ  ko  na  Thahrā.eñ  sharīk
ā.īna-ḳhāne  meñ  aa  kar  ḳhud-shumārī  kījiye
ashk-bārī  sīna-chākī  dil-ḳharāshī  ho  chukī
liije  sāhib  ishq  kā  farmān  jaarī  kījiye
hoñT  kahte  haiñ  bahā  diije  lahū  ash.ār  meñ
zulf  kahtī  hai  miyāñ  tarkīb  bhārī  kījiye
dekhiye  maah  o  sitāra  ghūmiye  arz  o  samā
chaliye  bāhar  bād-e-ḳhud-sar  kī  savārī  kījiye
ishq  kā  aglā  paḌāv  maiñ  huuñ  maiñ  duniyā-parast
al-madad  ai  qais  ai  farhād  yaarī  kījiye
yuuñ  to  malne  se  rahī  ye  saltanat  so  shahryār
paañv  paḌ  kar  roiye  minnat-gizārī  kījiye