duniyā  se  har  rishta  toḌā  ḳhud  se  rū-gardānī  kī
sirf  tumhārā  dhyān  rakhā  aur  jiine  meñ  āsānī  kī
majnūñ  aur  farhād  hue  jab  ishq  meñ  sab  barbād  hue
tab  jañgal  ne  kuuch  kiyā  sahrā  ne  naql-e-makānī  kī
us  kī  mohnī  sūrat  jaise  phūloñ  kā  āmeza  hai
aur  us  kī  āvāz  hai  goyā  re-gā-mā-pā-dhānī  kī
bhūlī-bisrī  yaad  ne  jab  daryāft  kiyā  ahvāl  mirā
dil  ne  zaḳhm  kalām  kiyā  āñkhoñ  ne  ashk-bayānī  kī
ilm  kā  dam  bharnā  chhoḌo  bhī  aur  amal  ko  bhuul  bhī  jaao
ā.īna-ḳhāne  meñ  ho  sāhib  fikr  karo  hairānī  kī