in.ikās-e-tishnagī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
tar-ba-tar  ye  raushnī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
aag  par  merā  tasarruf  aab  par  merī  giraft
merī  muTThī  meñ  abhī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
jhiil  meñ  Thahrā  huā  hai  us  kā  aks-e-ātishīñ
aa.ine  meñ  is  ghaḌī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
jal  uTheñ  yādoñ  kī  qindīleñ  sadā.eñ  Duub  jaa.eñ
dar-haqīqat  ḳhāmushī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
zinda  lauT  aayā  huuñ  jañgal  se  to  kyā  jā-e-malāl
mere  raste  meñ  abhī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
koī  ḳheme  raakh  kar  de  koī  baazū  chhīn  le
ek  sī  ġhārat-garī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
ret  par  rakhkhūñ  tujhe  yā  bahte  paanī  meñ  bahā.ūñ
dekh  ai  tishna-labī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
tū  bagūlā  hai  ki  hai  girdāb  ai  raqs-e-davām
faisla  kar  le  abhī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
dasht  bhī  us  kī  rivāyat  meñ  hai  mauj-e-āb  bhī
merī  āñkhoñ  kī  namī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai
tū  sambhālegā  bhalā  kaise  ye  saarī  saltanat
'shahryār'-shā.erī  sahrā  bhī  hai  dariyā  bhī  hai