ā.īna  ban  ke  apnā  tamāshā  dikhā.eñ  ham
yuuñ  sāmne  raheñ  ki  nazar  bhī  na  aa.eñ  ham
mumkin  hai  daur-e-jashn-e-charāġhāñ  ho  jab  yahāñ
vo  tīrgī  baḌhe  ki  sahīfe  jalā.eñ  ham
darpesh  hai  guzishta  rutoñ  kā  safar  hameñ
hairat  na  kar  ki  lauT  ke  vāpas  na  aa.eñ  ham
taufīq-e-sair-e-bāġh  agar  ho  to  ab  kī  shaam
dil  kī  jagah  shajar  pe  parinde  banā.eñ  ham
ḳhāmosh  ho  raho  ki  sar-e-shahr-e-ārzū
uftād  vo  paḌī  hai  ki  ab  kyā  batā.eñ  ham