rāz-e-darūn-e-āstīñ  kashmakash-e-bayāñ  meñ  thā
aag  abhī  nafas  meñ  thī  sho.ala  abhī  zabāñ  meñ  thā
vo  jo  kahīñ  thā  vo  bhī  maiñ  aur  jo  nahīñ  thā  vo  bhī  maiñ
aap  hī  thā  zamīn  par  aap  hī  āsmāñ  meñ  thā
lams-e-sadā-e-sāz  ne  zaḳhm  nihāl  kar  diye
ye  to  vahī  hunar  hai  jo  dast-e-tabīb-e-jāñ  meñ  thā
ḳhvāb-e-ziyāñ  haiñ  umr  kā  ḳhvāb  haiñ  hāsil-e-hayāt
is  kā  bhī  thā  yaqīñ  mujhe  vo  bhī  mire  gumāñ  meñ  thā
ḳhanjar  o  dashna  o  sināñ  ye  to  bahāne  haiñ  miyāñ
aap  na  sharmsār  hoñ  zaḳhm  sirisht-e-jāñ  meñ  thā
hadd-e-gumāñ  se  ek  shaḳhs  duur  kahīñ  chalā  gayā
maiñ  bhī  vahīñ  chalā  gayā  maiñ  bhī  guzishtagāñ  meñ  thā