phail  rahā  hai  ye  jo  ḳhālī  hone  kā  Dar  mujh  meñ
āḳhir-kār  simaT  aa.egā  merā  bāhar  mujh  meñ
ro  dūñgā  to  ashk  nahīñ  āñkhoñ  se  ret  bahegī
ḳhuun  kahāñ  kuchh  sūkhe  dariyā  haiñ  sahrā  bhar  mujh  meñ
pahroñ  jaltā  rahtā  huuñ  maiñ  jaise  koī  sūraj
ek  kiran  jab  ruk  jaatī  hai  tujh  se  chhan  kar  mujh  meñ
tū  maujūd  hai  maiñ  ma.adūm  huuñ  is  kā  matlab  ye  hai
tujh  meñ  jo  nāpaid  hai  pyāre  vo  hai  mayassar  mujh  meñ
qatra  Thiik  hai  dariyā  hone  meñ  nuqsān  bahut  hai
dekh  to  kaise  Duub  rahā  hai  merā  lashkar  mujh  meñ