na.e  zamānoñ  kī  chaap  to  sar  pe  aa  khaḌī  thī
mirī  samā.at  guzishta  advār  meñ  paḌī  thī
udhar  diye  kā  badan  havā  se  thā  paara  paara
idhar  añdhere  kī  aañkh  meñ  ik  kiran  gaḌī  thī
falak  pe  thā  ātishīñ  daraḳhtoñ  kā  ek  jañgal
aur  un  daraḳhtoñ  ke  biich  tārīk  jhoñpaḌī  thī
samā.ī  kis  tarah  merī  āñkhoñ  kī  putliyoñ  meñ
vo  ek  hairat  jo  ā.īne  se  bahut  baḌī  thī
jise  piroyā  thā  apne  hāthoñ  se  tere  ġham  ne
sadā-e-girya  meñ  hichkiyoñ  kī  ajab  laḌī  thī
hamārī  palkoñ  pe  raqs  karte  hue  sharāre
aur  āsmāñ  meñ  kahīñ  sitāroñ  kī  phuljaḌī  thī
tulū  sub.h-e-hazār  ḳhurshīd  kī  duā  par
bujhe  charāġhoñ  kī  raakh  dāman  pe  aa  paḌī  thī
sabhī  ġhamīñ  the  mire  piyāle  meñ  zahr  pā  kar
maiñ  mutma.in  thā  ki  merī  takmīl  kī  ghaḌī  thī
savāl-e-ruḳh  gulistāñ  meñ  aayā  to  phuul  Thahrā
laboñ  kī  hasrat  suḳhan  meñ  pahuñchī  to  pañkhuḌī  thī
ye  log  to  un  dinoñ  bhī  nā-ḳhush  the  'shahryārā'
ki  jin  dinoñ  mere  paas  jaadū  kī  ik  chhaḌī  thī