aañkh  paḌte  hī  na  thā  naam  shakebā.ī  kā
dar-e-mai-ḳhāna  thā  naqsha  tirī  añgḌā.ī  kā
mā-sivā  us  ke  nahīñ  jis  kā  koī  aur  sharīk
kaun  batlā.egā  aalam  mirī  tanhā.ī  kā
pāk-dāmānī-e-yūsuf  thī  zuleḳhā  kī  sazā
rāsta  chaak  se  paidā  huā  rusvā.ī  kā
saḳhtiyāñ  himmat-e-dil  ho  to  badal  jaatī  haiñ
maut  ik  khel  hai  lekin  tire  shaidā.ī  kā
ham  ko  un  mai-kada-e-dahr  se  ummīd  nahīñ
sāġhar  ulTā  huā  hai  gumbad-e-mīnā.ī  kā
tār-e-malbūs  meñ  thī  yā  ḳhat-e-taqdīr  meñ  thī
haal  khultā  nahīñ  yāqūb  kī  bīnā.ī  kā
aane  de  niiñd  to  sab  so.eñ  magar  ai  tauba
nāla-e-ishq  kā  is  par  shab-e-tanhā.ī  kā
dil-e-nāzuk  mutahammil  nahīñ  ġham  ho  ki  surūr
phuul  maqtūl  hai  ḳhud  apnī  hī  ra.anā.ī  kā
na  huā  vasl-e-tamannā  na  ghaTī  vahshat-e-dil
kyā  natīja  thā  mirī  bādiya-paimā.ī  kā
vo  na  aa.eñ  sar-e-bālīñ  ki  maiñ  bachne  kā  nahīñ
dam  na  TuuTe  mire  saath  in  kī  masīhā.ī  kā
aa.ina  jis  meñ  sadā  Duub  ke  ubhrā  kyā  husn
ek  Thahrā  huā  paanī  hai  ḳhud-ārā.ī  kā
saath  dene  kā  to  ehsān  hai  mujh  par  lekin
sham.a  ne  naam  Duboyā  mirī  tanhā.ī  kā
husn  ke  haath  bañdhe  to  vo  zarā  der  sahī
mujh  par  ehsāñ  tirī  aa.ī  huī  añgḌā.ī  kā
us  ke  sunñe  ke  liye  jam.a  huā  hai  mahshar
rah  gayā  thā  jo  fasāna  mirī  rusvā.ī  kā
shauq-e-pā-bosī-e-mahbūb  thā  varna  'sāqib'
sañg-e-dar  par  koī  mauqa  thā  jabīñ-sā.ī  kā