Iqbal Suhail

zabanon par nahin ab tur ka fasana barson se

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
zabānoñ par nahīñ ab tuur kā fasāna barsoñ se
tajallī-gāh-e-aiman hai dil-e-dīvāna barsoñ se
kuchh aisā hai fareb-e-nargis-e-mastāna barsoñ se
ki sab bhūle hue haiñ kaaba o but-ḳhāna barsoñ se
vo chashm-e-fitnagar hai sāqi-e-mai-ḳhāna barsoñ se
ki bāham laḌ rahe haiñ shīsha o paimāna barsoñ se
na ab mansūr baaqī hai na vo dār-o-rasan lekin
fazā meñ gūñjtā hai nāra-e-mastāna barsoñ se
chaman ke naunihāl is ḳhaak meñ phūleñ phaleñ kyūñkar
yahāñ chhāyā huā hai sabza-e-begāna barsoñ se
ye āñkheñ muddatoñ se ḳhūgar-e-barq-e-tajallī haiñ
nasheman bijliyoñ kā hai mirā kāshāna barsoñ se
tire qurbāñ idhar bhī ek jhoñkā abr-e-rahmat kā
jabīnoñ meñ girah hai sajda-e-shukrāna barsoñ se
'suhail' ab kis ko sajda kījiye hairat kā aalam hai
jabīñ ḳhud ban ga.ī sañg-e-dar-e-jānāna barsoñ se
Top Urdushayar.com