Iqbal Suhail

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

Iqbal Suhail

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1885-1955
anjām-e-vafā bhī dekh liyā ab kis liye sar ḳham hotā hai
nāzuk hai mizāj-e-husn bahut sajde se bhī barham hotā hai
mil-jul ke ba-rañg-e-rañg-e-shīr-o-shakar donoñ ke nikharte haiñ jauhar
dariyāoñ ke sañgam se baḌh kar tahzīb kā sañgam hotā hai
kuchh mā-o-shumā meñ farq nahīñ kuchh shāh-o-gadā meñ bhed nahīñ
ham bāda-kashoñ kī mahfil meñ har jaam ba-kaf jam hotā hai
dīvānoñ ke jubba-o-dāman kā uḌtā hai fazā meñ jo TukḌā
mustaqbil-e-millat ke haq meñ iqbāl kā parcham hotā hai
mansūr jo hotā ahl-e-nazar to da.avā-e-bātil kyuuñ kartā
us kī to zabāñ khultī hī nahīñ jo raaz kā mahram hotā hai
tā-chand 'suhail' afsurda-e-ġham kyā yaad nahīñ tārīḳh-e-haram
īmāñ ke jahāñ paḌte haiñ qadam paidā vahīñ zamzam hotā hai
Top Urdushayar.com