anjām-e-vafā  bhī  dekh  liyā  ab  kis  liye  sar  ḳham  hotā  hai
nāzuk  hai  mizāj-e-husn  bahut  sajde  se  bhī  barham  hotā  hai
mil-jul  ke  ba-rañg-e-rañg-e-shīr-o-shakar  donoñ  ke  nikharte  haiñ  jauhar
dariyāoñ  ke  sañgam  se  baḌh  kar  tahzīb  kā  sañgam  hotā  hai
kuchh  mā-o-shumā  meñ  farq  nahīñ  kuchh  shāh-o-gadā  meñ  bhed  nahīñ
ham  bāda-kashoñ  kī  mahfil  meñ  har  jaam  ba-kaf  jam  hotā  hai
dīvānoñ  ke  jubba-o-dāman  kā  uḌtā  hai  fazā  meñ  jo  TukḌā
mustaqbil-e-millat  ke  haq  meñ  iqbāl  kā  parcham  hotā  hai
mansūr  jo  hotā  ahl-e-nazar  to  da.avā-e-bātil  kyuuñ  kartā
us  kī  to  zabāñ  khultī  hī  nahīñ  jo  raaz  kā  mahram  hotā  hai
tā-chand  'suhail'  afsurda-e-ġham  kyā  yaad  nahīñ  tārīḳh-e-haram
īmāñ  ke  jahāñ  paḌte  haiñ  qadam  paidā  vahīñ  zamzam  hotā  hai