Irfan Sattar

ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

ye kaise malbe ke nīche dabā diyā gayā huuñ

mujhe badan se nikālo maiñ tañg aa gayā huuñ

kise dimāġh hai be-faiz sohbatoñ miyāñ

ḳhabar uḌā do ki maiñ shahr se chalā gayā huuñ

ma.āl-e-ishq-e-anā-gīr hai ye muḳhtasaran

maiñ vo darinda huuñ jo ḳhud ko chabā gayā huuñ

koī ghaḌī hai ki hotā huuñ āstīn meñ dafn

maiñ dil se bahtā huā aañkh tak to aa gayā huuñ

mirā thā markazī kirdār is kahānī meñ

baḌe salīqe se be-mājrā kiyā gayā huuñ

vo mujh ko dekh rahā hai ajab tahayyur se

na-jāne jhoñk meñ kyā kuchh use batā gayā huuñ

mujhe bhulā na sakegī ye rahguzār-e-junūñ

qadam jamā na sakā rañg to jamā gayā huuñ

sab ehtimām se pahuñche haiñ us bazm meñ aaj

maiñ apne haal meñ sarmast o mubtalā gayā huuñ

mire kahe se mire gird-o-pesh kuchh bhī nahīñ

so jo dikhāyā gayā hai vo dekhtā gayā huuñ

use batāyā nahīñ hijr meñ jo haal huā

jo baat sab se zarūrī thī vo chhupā gayā huuñ

ġhazal meñ khīñch ke rakh hai apnī jaañ irfān

har ek sher meñ dil lahū bahā gayā huuñ

Top Urdushayar.com