Irfan Sattar

aaj karna thi tawajjoh chaak-e-daman ki taraf

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

aaj karnā thī tavajjoh chāk-e-dāmāñ taraf

dhyān niklā magar ik rū-e-tābāñ taraf

jab havā ke naam pahuñchā āmad-e-shab payām

ek jhoñkā chal diyā sham-e-farozāñ taraf

ek chehra jagmagāyā hai sar-e-dasht-e-ḳhayāl

ek sho.ala uTh rahā hai dil se mizhgāñ taraf

ye bayābāñ aur us meñ chīḳhtī gaatī havā

un se dil bhar le to jā.ūñ rāh-e-āsāñ taraf

is tarah haa.il nahīñ hote kisī raah meñ

kyuuñ bhalā itnī tavajjoh ek mehmāñ taraf

ain mumkin hai ki sach bol kar zinda rahe

maiñ ishāra kar rahā huuñ ek imkāñ taraf

ik taqāzā bebasī raakh meñ dahkā huā

ik tazabzub safar inkār se haañ taraf

jis ke badle maut sadiyoñ basar karnā paḌe

zindagī qarz itnā to nahīñ jaañ taraf

Top Urdushayar.com