Irfan Sattar

ek tarik KHala usMein chamakta hawa main

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

ek tārīk ḳhalā us meñ chamaktā havā maiñ

ye kahāñ aa gayā hastī se saraktā huā maiñ

shola-e-jāñ se fanā hotā huuñ qatra qatra

apnī āñkhoñ se lahū ban ke Tapaktā huā maiñ

āgahī ne mujhe baḳhshī hai ye nār-e-ḳhud-soz

ik jahannam tarah ḳhud meñ bhaḌaktā huā maiñ

muntazir huuñ ki koī aa ke mukammal kar de

chaak par ghūmtā bal khātā daraktā huā maiñ

majma.a ahl-e-haram naqsh-ba-dīvār udhar

aur idhar shor machātā huā baktā huā maiñ

mere dam se milī sā.at-e-imkān use

vaqt ke jism meñ dil ban ke dhaḌaktā huā maiñ

be-niyāzī se mirī aate hue tañg ye log

aur logoñ tavajjoh se bidaktā huā maiñ

raat raat nikal jaatā huuñ ḳhud se bāhar

apne ḳhvāboñ ke ta.āqub meñ humaktā huā maiñ

aisī yakjā.ī ki miT jaa.e tamīz-e-man-o-tū

mujh meñ khiltā huā tujh meñ mahaktā huā maiñ

ik to vo husn-e-junūñ-ḳhez hai aalam meñ shuhūd

aur ik husn-e-junūñ-ḳhez ko taktā huā maiñ

ek āvāz paḌī thī ki koī sā.il-e-hijr?

aan aan meñ pahuñchā thā lapaktā huā maiñ

hai kashīd-e-suḳhan-e-ḳhās vadī.at mujh ko

ghūmtā phirtā huuñ ye itr chhiḌaktā huā maiñ

rāz-e-haq faash huā mujh pe bhī hote hote

ḳhud tak aa gayā 'irfān' bhaTaktā huā maiñ

Top Urdushayar.com