Irfan Sattar

wo charagh-e-jaan ki charagh tha kahin rahguzar mein bujh gaya

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
vo charāġh-e-jāñ ki charāġh thā kahīñ rahguzār meñ bujh gayā
maiñ jo ik sho.ala-nazhād thā havas-e-qarār meñ bujh gayā
mujhe kyā ḳhabar thī tirī jabīñ kī vo raushnī mire dam se thī
maiñ ajiib sāda-mizāj thā tire e'tibār meñ bujh gayā
mujhe rañj hai ki maiñ mausamoñ kī tavaqquāt se kam rahā
mirī lau ko jis meñ amaañ milī maiñ usī bahār meñ bujh gayā
vo jo lams merī talab rahā vo jhulas gayā mirī khoj meñ
so maiñ us kī taab na lā sakā kaf-e-dāġh-dār meñ bujh gayā
jinheñ raushnī kā lihāz thā jinheñ apne ḳhvāb pe naaz thā
maiñ unhī kī saf meñ jalā kiyā maiñ usī qatār meñ bujh gayā
Top Urdushayar.com