junūñ  ke  dam  se  āḳhir  martaba  kaisā  milā  mujh  ko
abhī  farhād-o-qais  aa.e  the  kahne  marhabā  mujh  ko
kisī  sūrat  bhī  radd  hotā  nahīñ  ye  faisla  dil  kā
nazar  aatā  nahīñ  koī  bhī  tujh  sā  dūsrā  mujh  ko
sar-e-kunj-e-tamannā  phir  ḳhushī  se  gungunā.uñgā
agar  vo  lauT  kar  aa.e  to  phir  tum  dekhnā  mujh  ko
na  jān-e-rashk  se  ġhusse  se  ġham  se  yā  raqābat  se
ye  kis  andāz  se  taktā  hai  terā  aa.ina  mujh  ko
khule  to  sab  zamānoñ  ke  ḳhazāne  haath  aa  jaa.eñ
dar-e-iqlīm-e-haft-ālam  hai  vo  band-e-qabā  mujh  ko
gumāñ  meñ  bhī  gumāñ  lagtī  hai  ab  to  zindagī  merī
nazar  aatā  hai  ab  vo  ḳhvāb  meñ  bhī  ḳhvāb  sā  mujh  ko
kasāfat  baar  pā  saktī  nahīñ  aisī  latāfat  meñ
karam  us  kā  ki  baḳhshā  dil  ke  badle  aabla  mujh  ko
sabā  merī  qadam-bosī  se  pahle  gul  na  dekhegī
agar  vahshat  ne  kuchh  din  baaġh  meñ  rahne  diyā  mujh  ko
na  niklī  aaj  gar  koī  yahāñ  yakjā.ī  kī  sūrat
to  kal  se  DhūñDte  phirnā  jahāñ  meñ  jā-ba-jā  mujh  ko
guzargāh-e-nafas  meñ  huuñ  misāl-e-barg-e-āvāra
koī  dam  meñ  uḌā  le  jā.egī  bād-e-fanā  mujh  ko
vo  dil-āvez  āñkheñ  vo  lab-o-ruḳhsār  vo  zulfeñ
nahīñ  ab  dekhnā  kuchh  bhī  nahīñ  us  ke  sivā  mujh  ko
azal  se  tā-abad  duniyā  se  le  kar  āsmānoñ  tak
nazar  aatā  hai  terī  hī  nazar  kā  silsila  mujh  ko
mire  hone  se  hī  kuchh  e'tibār  us  kā  bhī  qaa.em  hai
junūñ  tum  se  nimaT  legā  jo  dīvāna  kahā  mujh  ko
koī  'irfān'  mujh  meñ  se  mujhe  āvāz  detā  hai
are  tū  sochtā  kyā  hai  kabhī  kuchh  to  batā  mujh  ko