Irfan Sattar

jo be-ruKHi ka rang bahut tez mujh mein hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

jo be-ruḳhī rañg bahut tez mujh meñ hai

ye yādgār-e-yār-e-kam-āmez mujh meñ hai

sairāb kunj-e-zāt ko rakhtī hai mustaqil

bahtī huī jo rañj kārez mujh meñ hai

kaasa hai ek fikr se mujh meñ bharā huā

aur ik piyāla dard se lab-rez mujh meñ hai

ye karb-e-rā.egānī-e-imkāñ bhī hai magar

terā bhī ik ḳhayāl-e-dil-āvez mujh meñ hai

taaza khile hue haiñ ye gulhā-e-zaḳhm-e-rañg

har aan ek mausam-e-ḳhūñ-rez mujh meñ hai

rakhtī hai merī tab-e-ravāñ bāb-e-harf meñ

ye mustaqil jo dard mahmez mujh meñ hai

ab tak harā-bharā hai kisī yaad shajar

'irfān'! ek ḳhitta-e-zarḳhez mujh meñ hai

Top Urdushayar.com