Saqib Lakhnavi

dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
dil ke hote bhī kahīñ dard judā hotā hai
ik faqat maut ke aa jaane se kyā hotā hai
zulm se zikr-e-vafā aur sivā hotā hai
un kī har ek burā.ī meñ bhalā hotā hai
shohdā ne.mat-e-duniyā kī talab bhuul ga.e
ḳhuun ke ghūñT meñ aisā hī mazā hotā hai
ḳhud-farāmoshī-e-ulfat hai ilāj-e-ġham-e-dahr
be-ḳhabar hosh meñ aanā hī burā hotā hai
imtihāñ-gāh tirī mahfil-e-dilkash hai magar
maiñ bhī dekhūñ ki koī dil ke sivā hotā hai
tum se kahtā huuñ mirā ḳhuun mire dil pe sahī
rasm-e-duniyā hai ki apnoñ se gilā hotā hai
bazm se uTh to chalā maiñ ki mahal thā lekin
rone vāloñ se bhalā koī ḳhafā hotā hai
dekh hī lete haiñ sab nāz-o-adā kī sūrat
aa.ina aap kā naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai
nāla-e-dil ke asar kā na karo mujh se gila
mujh ko kyā ilm ki kis tarah rasā hotā hai
tauba tauba hai yahī ishq kī bātil nazarī
sañg but-ḳhāne meñ aate hī ḳhudā hotā hai
kyā sabab kuchh tujhe ma.alūm hai ai abr-e-bahār
dil ke murjhāne se kyuuñ zaḳhm harā hotā hai
vo kaheñ yā na kaheñ maiñ huuñ asar se vāqif
bol uThtā hai vo naala jo rasā hotā hai
raushnī din kī abhī hai ki haiñ kho.e hue hosh
dekhnā hai shab-e-tārīk meñ kyā hotā hai
hijr ke dard ko baḌhne de ki hai muzhda-e-vasl
vahī ghaTtā hai jahāñ meñ jo sivā hotā hai
bad-nasībī ho to har ḳhuub kī ḳhūbī hai fuzūl
sub.h kā vaqt sitāroñ ko burā hotā hai
dil to dil sar bhī kabhī hotā hai mamnūn-e-firāq
jis meñ hai ishq ye saudā vo judā hotā hai
mire raazī ba-razā hone se sab raazī haiñ
varna jo hai vo shikāyat se ḳhafā hotā hai
avvalīñ marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut
koī batlā.e ki phir ba.ad meñ kyā hotā hai
bīm-o-ummīd se kis tarah nikal jā.ūñ ki dil
na Thahartā hai jahāñ meñ na fanā hotā hai
muntazir naza.a meñ chup hai to use chup na samajh
dam kā ruk ruk ke nikalnā bhī gilā hotā hai
shab-e-tārīk meñ niklā to hai dekhūñ 'sāqib'
nā-rasā rahtā hai naala ki rasā hotā hai
Top Urdushayar.com