Irfan Sattar

ghamon mein kuchh kami ya kuchh izafa kar rahe hain

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

ġhamoñ meñ kuchh kamī kuchh izāfa kar rahe haiñ

samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki ham kyā kar rahe haiñ

jo aatā hai nazar meñ us ko le aate haiñ dil meñ

na.ī tarkīb se ham ḳhud ko tanhā kar rahe haiñ

nazar karte haiñ yuuñ jaise bichhaḌne ghaḌī ho

suḳhan karte haiñ aise jaise girya kar rahe haiñ

tumhāre ta.alluq se to ham haiñ is badan meñ

tumhāre liye to ye tamāshā kar rahe haiñ

zavāl-e-āmādgī ab gūñjtī hai dhaḌkanoñ meñ

so dil se ḳhvāhishoñ bojh halkā kar rahe haiñ

suḳhan tum se ho ahbāb se apne dil se

yahī lagtā hai ham har baat bejā kar rahe haiñ

tumhārī aarzū hone se pahle bhī to ham the

so jaise ban paḌe ab bhī guzārā kar rahe haiñ

zarā pūchhe koī ma.adūm hote in dukhoñ se

hameñ kis ke bharose par akelā kar rahe haiñ

hameñ roke hue hai pās-e-nāmūs-e-mohabbat

ye mat samjho ki ham duniyā parvā kar rahe haiñ

ba-juz-sīna-ḳharāshī kuchh nahīñ aatā hai lekin

zarā dekho to ham ye kaam kaisā kar rahe haiñ

hameñ is kaam mushkil andāza hai sāhab

baḌe arse se ham bhī tark-e-duniyā kar rahe haiñ

jo hogī sub.h to taqsīm ho jā.eñge phir ham

Dhalī hai shaam to ḳhud ko ikaTThā kar rahe haiñ

junūñ se itnā derīna ta.alluq toḌ deñge?

are tauba kareñ 'irfān', ye kyā kar rahe haiñ

Top Urdushayar.com