Irfan Sattar

bahut KHajil hain ki hum raegan bhi zinda rahe

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
bahut ḳhajil haiñ ki ham rā.egāñ bhī zinda rahe
jahāñ pe tū bhī nahīñ thā vahāñ bhī zinda rahe
ajiib shart hai is be-yaqīñ mizāj kī bhī
ki tū bhī paas ho terā gumāñ bhī zinda rahe
tujhe pe zid hai magar is tarah nahīñ hotā
ki tū bhī zinda rahe dāstāñ bhī zinda rahe
vo kaun log the jin kā vajūd jism se thā
ye kaun haiñ jo pas-e-jism-o-jāñ bhī zinda rahe
jo ye na ho to suḳhan kā koī javāz nahīñ
zamīr zinda rahe to zabāñ bhī zinda rahe
ye kā.enāt faqat manfa.at kā naam nahīñ
koī yahāñ pe barā.e ziyāñ bhī zinda rahe
adam meñ jo bhī nahīñ thā vo sab vajūd meñ thā
ye ham hī the jo kahīñ darmiyāñ bhī zinda rahe
Top Urdushayar.com