Irfan Sattar

murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
murattab aur bhī ik goshvāra ho rahā hai
to kyā hai gar abhī ham ko ḳhasāra ho rahā hai
hamāre paas to ham se ziyāda tū nahīñ thā
so tū kyā ab to ḳhud se bhī kināra ho rahā hai
hamāre ḳhvāb meñ ahmiyat-e-shab thī ziyāda
so ab vo ḳhvāb āñkhoñ meñ sitāra ho rahā hai
tumhārī aarzū hone se pahle bhī to ham the
guzāra ho rahā thā so guzāra ho rahā hai
hayā-ālūd āñkheñ haiñ na āñchal hai na chilman
ye kis vīrān duniyā kā nazāra ho rahā hai
abhī ham faisla karne kī ujlat meñ nahīñ haiñ
magar lagtā hai jiine se ḳhasāra ho rahā hai
ḳhalā se is zamīñ par sañg-rezo kī ye bārish
kisī jānib se kyā koī ishāra ho rahā hai
Top Urdushayar.com