Taban Abdul Hai

aish sab KHush aate hain jab talak jawani hai

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
aish sab ḳhush aate haiñ jab talak javānī hai
murda-dil vo hotā hai jo ki sheḳh faanī hai
jab talak rahe jiitā chāhiye hañse bole
aadmī ko chup rahnā maut kī nishānī hai
jo ki terā āshiq hai us kā ai gul-e-ra.anā
rañg-e-zāfrānī hai ashk-e-arġhavānī hai
aah kī nahīñ tāqat taab nahīñ hai naale kī
hijr meñ tire zālim kyā hī nā-tavānī hai
chaar din kī ishrat par dil lagā na duniyā se
kahte haiñ ki jannat meñ aish-e-jāvedānī hai
gul-ruḳhāñ kā āb-o-rañg dekhne se mere hai
husn kī gulistāñ kī mujh ko bāġhbānī hai
dil se kyuuñ nahīñ chāhūñ yaar ko ki ai 'tābāñ'
dil-rubā hai pyārā hai jivḌā hai jaanī hai
Top Urdushayar.com