Taban Abdul Hai

tu mil us se ho jis se dil tera KHush

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749

mil us se ho jis se dil tirā ḳhush

balā se terī maiñ nā-ḳhush huuñ ḳhush

ḳhushī terī jise har-dam ho darkār

koī is se nahīñ hotā hai nā-ḳhush

koī ab ke zamāne meñ na hogā

ilāhī āshnā se āshnā ḳhush

falak ke haath se ai ḳhāliq-e-ḳhalq

kui nahīñ aa ke duniyā meñ rahā ḳhush

tirā saaya ho jis par us ko hargiz

na aave sāya-e-bāl-e-humā ḳhush

qafas meñ aah had iizā hai ham ko

na aatī kaash gulshan havā ḳhush

agar laave us gul-badan

to hoñ tujh se nihāyat ai sabā ḳhush

kiyā qatl un ne mujh ko ġhair se mil

huā dushman judā ḳhush vo judā ḳhush

nasīhat thī un ne mai-kashoñ ko

bahut mastoñ ne zāhid ko kiyā ḳhush

mū-e-ātish meñ jal parvāna o sham.a

mohabbat se maiñ un had huā ḳhush

kiyā chaak ai junūñ tirā bhalā ho

kabhū maiñ is garebāñ se na thā ḳhush

gayā thā sair ko le saaqī o mai

na aa.ī baaġh āb-o-havā ḳhush

kiyā qātil ne bismil ko mire dekh

mujhe lagtā hai is loTnā ḳhush

sune kyūñkar vo labbaik-e-haram ko

jise nāqūs aa.e sadā ḳhush

satānā be-diloñ ke dil ko har-dam

tumheñ ai dilbaro aatā hai kyā ḳhush

sumūd o qāqum o sanjāb hai pashm

mujhe aatā hai TuuTā boriyā ḳhush

sanam ke paas se qāsid phirā hai

ḳhudā jaane ki maiñ nā-ḳhush huuñ ḳhush

koī ḳhush hove ḳhūbāñ vafā se

mujhe to un aatī hai jafā ḳhush

na chhoḌūñgā kabhī maiñ but-parastī

na ho go mujh se ai 'tābāñ' ḳhudā ḳhush

Top Urdushayar.com