Taban Abdul Hai

marne ki mujhko aap se hain iztirabiyan

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749

marne mujh ko aap se haiñ iztirābiyāñ

kartā hai mere qatl ko kyuuñ shitābiyāñ

merā ḳhānumāñ nahīñ vīrāñ huā koī

bahutoñ haiñ ishq ne ḳhāna ḳharābiyāñ

ḳhvān-e-falak pe ne.amat-e-alvān hai kahāñ

ḳhālī hai mahr-o-māh donoñ rikābiyāñ

hargiz ḳhum-e-falak meñ nahīñ hai sharāb-e-ishq

ġhunchoñ ḳhūn-e-dil se bharī haiñ gulābiyāñ

halqoñ se us zulf ke ruḳhsār hai ayaañ

'tābāñ' jathe meñ dekho haiñ kyā māh-tābiyāñ

Top Urdushayar.com