Taban Abdul Hai

kisi ka kaam dil is charKH se hua bhi hai

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749

kisī kaam dil is charḳh se huā bhī hai

koī zamāne meñ ārām se rahā bhī hai

kisī meñ mehr-o-mohabbat kahīñ vafā bhī hai

koī kisī zamāne meñ āshnā bhī hai

koī falak sitam mujh se bach rahā bhī hai

janā nasīb koī mujh dūsrā bhī hai

burā na māniyo maiñ pūchhtā huuñ ai zālim

ki be-kasoñ ke satā.e se kuchh bhalā bhī hai

jo puḳhta-maġhz haiñ ve soz-e-dil nahīñ kahte

kisī ne sham.a se jalne meñ kuchh sunā bhī hai

tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho

butāñ hamārā tumhārā koī ḳhudā bhī hai

qātiloñ se lagātā hai dil ko kyuuñ 'tābāñ'

ki un ke haath se jiitā koī bachā bhī hai

Top Urdushayar.com