Taban Abdul Hai

tu bhali baat se hi meri KHafa hota hai

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
tū bhalī baat se hī merī ḳhafā hotā hai
aah kyā chāhnā aisā hī burā hotā hai
tere abrū se mirā dil na chhuTegā hargiz
gosht nāḳhun se bhalā koī judā hotā hai
maiñ samajhtā huuñ tujhe ḳhuub tarah ai ayyār
tere is makr ke iḳhlās se kyā hotā hai
hai kaf-e-ḳhāk mirī bas-ki tab-e-ishq se garm
paañv vaañ jis kā paḌe ābla-pā hotā hai
dil mirā haath se jaatā hai karūñ kyā tadbīr
yaar muddat kā mirā haa.e judā hotā hai
rāhbar manzil-e-maqsūd ko darkār nahīñ
shauq-e-dil apnā hī yaañ rāh-numā hotā hai
ġhair harjā.ī mirā yaar liye jaatā hai
mujh pe 'tābāñ' ye sitam aaj baḌā hotā hai
Top Urdushayar.com