Taban Abdul Hai

kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
kis se pūchhūñ haa.e maiñ is dil ke samjhāne kī tarah
saath tiflāñ ke lagā phirtā hai dīvāne kī tarah
yaar ke paañv pe sar rakh jī ko apne dījiye
is se behtar aur nahīñ hotī hai mar jaane kī tarah
kab pilāvegā tū ai saaqī mujhe jām-e-sharāb
jāñ-ba-lab huuñ aarzū meñ mai kī paimāne kī tarah
mast aatā hai piye mai aaj vo qātil mirā
kuchh nazar aatī hai mujh ko apne jī jaane kī tarah
sham.a-rū ke gird phirtī haiñ sadā qurbān ho
chashm merī par lagā mizhgāñ ke parvāne kī tarah
baaġh meñ gul ne kiyā apne ta.iiñ lohūluhān
dekh us ġhuncha-dahan ke paan ke khāne kī tarah
fasl-e-gul aa.ī hai 'tābāñ' ghar meñ kyā baiThā hai yuuñ
kar garebāñ chaak jā sahrā meñ dīvāne kī tarah
Top Urdushayar.com