Ameeq Hanafi

ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko

Ameeq Hanafi

Mhow Cantt, Madhya Pradesh, India

1928-1985

ġhubār-o-gard ne samjhā hai rahnumā mujh ko

talāsh kartā phirā hai ye qāfila mujh ko

tavīl rāh-e-safar par haiñ phuuT phuuT paḌā

na kyuuñ samajhte mire pair aabla mujh ko

shikast-e-dil sadā huuñ bikhar bhī jaane de

ḳhutūt-o-rañg zanjīr mat pinhā mujh ko

zamīn par hai samundar falak pe abr-e-ġhubār

utārtī hai kahāñ dekhiye havā mujh ko

sukūt tark-e-ta.alluq ik garāñ lamha

banā gayā hai sadāoñ silsila mujh ko

vo duur duur se ab kyuuñ mujhe jalātā hai

qarīb aa ke bahut jo bujhā gayā mujh ko

rachā ke ek tilism-e-savābit-o-sayyār

kashish meñ apnī bulāne lagā ḳhalā mujh ko

Top Urdushayar.com