muñh-bolā  bol  jagat  kā  hai  jo  man  meñ  rahe  so  apnā  hai
ye  dil  kā  mīThā  mīThā  dard  bhī  gūñge  kā  sā  sapnā  hai
yā  ruḳh  ko  havā  ke  pher  de  tū  yā  ruḳh  pe  havā  ke  bahtā  chal
sansār  khapā  le  apne  meñ  sansār  meñ  varna  khapnā  hai
marnā  hī  nahīñ  ye  jiinā  hai  ye  prem  kī  jvālā  hai  jis  meñ
chāñdī  kī  tarah  se  galnā  hai  sone  kī  tarah  se  tapnā  hai
is  māyā-jāl  se  bach  kar  chal  har  ek  qadam  par  phandā  hai
sansār  kī  maayā  dhokā  hai  sansār  kī  maayā  sapnā  hai
ab  dil  kī  taḌap  meñ  jīvan  hai  jīvan  meñ  taḌap  hai  bijlī  kī
ab  dil  ko  sadā  hī  dhḌaknā  hai  'farhat'  ko  sadā  hī  taḌapnā  hai