vasl  ke  lamhe  kahānī  ho  ga.e
shab  ke  motī  sub.h  paanī  ho  ga.e
rafta  rafta  zindagānī  ho  ga.e
ġham  ke  lamhe  jāvedānī  ho  ga.e
daulat-e-ahd-e-javānī  ho  ga.e
chand  lamhe  jo  kahānī  ho  ga.e
kaisī  kuchh  rañgīniyāñ  thiiñ  jin  se  ham
mahv-e-sair-e-dahr-e-fānī  ho  ga.e
sukh  bhare  dukh  dukh  bhare  sukh  sab  ke  sab
vāqiāt-e-zindagānī  ho  ga.e
muskurā.e  aap  jaane  kis  liye
ham  rahīñ-e-shādmānī  ho  ga.e
bātoñ  hī  bātoñ  meñ  rāteñ  uḌ  ga.iiñ
haa.e  vo  din  bhī  kahānī  ho  ga.e
tum  ne  kuchh  dekhā  ḳhulūs-e-jazb-e-shauq
sañg-reze  gul  ke  paanī  ho  ga.e
'farhat'  aisī  but-parastī  ke  nisār
but  bhī  mahv-e-lan-tarānī  ho  ga.e