Farhat Kanpuri

tera jalwa sham-o-sahar dekhte hain

Farhat Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1905-1952
tirā jalva shām-o-sahar dekhte haiñ
salīqe se shams-o-qamar dekhte haiñ
pahuñchnā hai dil tak nazar dekhte haiñ
kidhar dekhnā thā kidhar dekhte haiñ
mohabbat kā un par asar dikhte haiñ
milā kar nazar se nazar dekhte haiñ
tujhe dekhne vaale yuuñ to bahut haiñ
magar ham ba-rañg-e-digar dekhte haiñ
jo haiñ nukta-chīñ vo kareñ nukta-chīnī
jo ahl-e-hunar haiñ hunar dekhte haiñ
abhī tak to jī ham ne khoyā nahīñ hai
abhī zabt-e-ġham kā asar dekhte haiñ
unheñ merī 'farhat' ḳhabar ho to kyūñkar
jo aḳhbār paḌh kar ḳhabar dekhte haiñ
Top Urdushayar.com