tirā  jalva  shām-o-sahar  dekhte  haiñ
salīqe  se  shams-o-qamar  dekhte  haiñ
pahuñchnā  hai  dil  tak  nazar  dekhte  haiñ
kidhar  dekhnā  thā  kidhar  dekhte  haiñ
mohabbat  kā  un  par  asar  dikhte  haiñ
milā  kar  nazar  se  nazar  dekhte  haiñ
tujhe  dekhne  vaale  yuuñ  to  bahut  haiñ
magar  ham  ba-rañg-e-digar  dekhte  haiñ
jo  haiñ  nukta-chīñ  vo  kareñ  nukta-chīnī
jo  ahl-e-hunar  haiñ  hunar  dekhte  haiñ
abhī  tak  to  jī  ham  ne  khoyā  nahīñ  hai
abhī  zabt-e-ġham  kā  asar  dekhte  haiñ
unheñ  merī  'farhat'  ḳhabar  ho  to  kyūñkar
jo  aḳhbār  paḌh  kar  ḳhabar  dekhte  haiñ