ik  ḳhalish  sī  hai  mujhe  taqdīr  se
al-amāñ  us  ḳhār-e-dāman-gīr  se
hasrat-e-nazzāra  kī  tāsīr  se
parda  uTThā  yaar  kī  tasvīr  se
shām-e-ġham  ke  rone  vaale  sabr  kar
sub.h  bhī  hogī  tirī  taqdīr  se
idda.ā-e-zabt-e-ġham  karnā  paḌā
tañg  aa  kar  āh-e-be-tāsīr  se
mujh  ko  dīvāna  samajh  leñ  ahl-e-hosh
kyuuñ  ulajhte  haiñ  mirī  zanjīr  se
dil  nahīñ  ik  aabla  siine  meñ  hai
is  nigāh-e-garm  kī  tāsīr  se
hotī  hai  taskīn  'farhat'  kuchh  na  kuchh
ḳhush  huuñ  apnī  āh-e-be-tāsīr  se