vo  bahkī  nigāheñ  kyā  kahiye  vo  mahkī  javānī  kyā  kahiye
vo  kaif  meñ  Duube  lamhoñ  kī  ab  raat  suhānī  kyā  kahiye
uljhī  huī  zulfeñ  ḳhvāb-asar  badmast  nigāheñ  vaj.h-e-baqā
duniyā  se  magar  imkān-e-shab-e-asrār-o-ma.ānī  kyā  kahiye
rūdād-e-mohabbat  sun  sun  kar  ḳhud  husn  ko  bhī  niiñd  aane  lagī
ab  aur  kahāñ  se  laa.eñ  dil  ab  aur  kahānī  kyā  kahiye
jiinā  bhī  bahut  hī  mushkil  hai  marnā  bhī  koī  āsān  nahīñ
allāh  re  kashākash  ulfat  kī  kyā  jī  meñ  hai  Thānī  kyā  kahiye
'farhat'  kā  patā  pūchhe  jo  koī  kaafī  hai  faqat  ye  kaafī  hai
phūTī  huī  qismat  TuuTā  dil  ab  aur  nishānī  kyā  kahiye