jo  kuchh  bhī  hai  nazar  meñ  so  vahm-e-numūd  hai
aalam  tamām  ek  tilism-e-vajūd  hai
ārā.ish-e-numūd  se  bazm-e-jumūd  hai
merī  jabīn-e-shauq  dalīl-e-sujūd  hai
hastī  kā  raaz  kyā  hai  ġham-e-hast-o-būd  hai
aalam  tamām  dām-e-rusūm-o-quyūd  hai
aks-e-jamāl-e-yār  se  vahm-e-numūd  hai
varna  vajūd-e-ḳhalq  bhī  ḳhud  be-vajūd  hai
ab  kushtagān-e-shauq  ko  kuchh  bhī  na  chāhiye
farsh-e-zamīñ  hai  sāya-e-charḳh-e-kabūd  hai
hañgāma-e-bahār  kī  allāh  re  shoḳhiyāñ
zāġh-o-zaġhan  kā  shor  bhī  saut-o-surūd  hai