kuchh  to  vufūr-e-shauq  meñ  bā.is-e-imtiyāz  ho
merī  nazar  ke  sāmne  un  kī  harīm-e-nāz  ho
soz-e-durūn-o-āh-e-dil  ishq  meñ  donoñ  ek  haiñ
ham  ko  to  ik  surūr  hai  soz  ho  yā  ki  saaz  ho
vo  dil  nazāra-kosh  terā  ye  zauq-e-be-ḳhudī
jalve  kī  taab  ho  na  ho  un  kī  harīm-e-nāz  ho
naaz  hai  shauq-e-āfrīñ  shauq  hai  shorish-e-dimāġh
husn  hai  ārzū-pasand  ishq  junūñ-navāz  ho
zauq-e-talab  ko  ishq  ne  turfa  sabaq  ye  de  diyā
nāla-e-dil-ḳharāsh  ban  āh-e-jigar-gudāz  ho
dil  kī  taḌap  meñ  ai  ḳhudā  kuchh  to  ho  zauq-e-āfiyat
dard  vo  de  jo  ishq  meñ  bā.is-e-imtiyāz  ho
'farhat'-e-ārzū-pasand  dars-e-niyāz-e-ishq  ne
kūcha-e-ma.arifat  meñ  aa  shefta  majāz  ho